Andar To KHayalon Ke Ho Aae KHayal Apna
andar to KHayalon ke ho aae KHayal apna
ifsha-e-haqiqat se Darta hai sawal apna
kaghaz ki sadaqat hun go waqf-e-kitabat hun
safhon se ibarat hun khulna hai muhaal apna
aaina hai zat apni mamur hun jalwon se
mastur hai nazron se har chand jamal apna
KHush hai ki jo TuTi hai aaKHir koi shai hogi
KHud mein nazar aata hai shishe ko jo baal apna
parde ne kaha mujh ko parde ne suna mujh ko
naghma hun samajhta hun itna hi kamal apna
ghunche mein raha hun main tinke mein Dhala hun main
kirnon ki dua hun main shoala hai maal apna
ai ham-nazaro Thahro kya ho jo baramad ho
har gosha-e-KHalwat se ek naqsh-e-KHayal apna
tah sath tak aa pahunchi ek mauj na hath aai
kab tak ye muhim aaKHir ab khinch lun jal apna
KHushbu se 'muhib' khelo kya ud ko rote ho
is ahd ki nazron se maKHfi hai malal apna
(596) Peoples Rate This