Wo Namaz-e-ishq Hi Kya Jo Salam Tak Na Pahunche
wo namaz-e-ishq hi kya jo salam tak na pahunche
ki quud se jo guzre to qayam tak na pahunche
wo hayat kya ki jis mein na KHushi ke sath gham ho
wo sahar bhi kya sahar hai ki jo sham tak na pahunche
tere mai-kade ka saqi ye chalan bhi kya chalan hai
ki jo hath tishna-kaamon ke bhi jam tak na pahunche
mari na-muradiyon ki yahi intiha hai shayad
teri bargah-e-ali mein salam tak na pahunche
use apni bad-nasibi na kahen to phir kahen kya
ki hazar koshishon par rah-e-am tak na pahunche
ye muKHasamat ke jazbe ye mahaz hasidon ke
magar umr bhar wo 'zauqi' ke maqam tak na pahunche
(1336) Peoples Rate This