Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_457b2ee75506a7b8fdf1813120bfcd55, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Junun Mein Mashq-e-tasawwur BaDha Raha Hun Main - Muhammad Ayyub Zauqi Poetry In English - Darsaal

Junun Mein Mashq-e-tasawwur BaDha Raha Hun Main

junun mein mashq-e-tasawwur baDha raha hun main

wo pas aae to ab dur ja raha hun main

faza-e-gulshan-e-hasti pe chha raha hun main

tere karam ka karishma dikha raha hun main

wo chaar tinke jinhen barq bhi jala na sake

inhin se apna nasheman bana raha hun main

hai aadmi ka muqaddar KHud us ke hathon mein

kuchh is fareb mein bhi mubtala raha hun main

ubhar rahe hain fasane haqiqaten ban kar

haqiqaton ko fasane bana raha hun main

kuchh aur qissa-e-dar-o-rasan suna waiz

ki is KHayal se taskin pa raha hun main

wo ek nazar ki jise jaan-e-muddaa kahiye

usi nazar ko teri DhunDhta raha hun main

nahin hun maslahat-andesh haq-bayani mein

yahi hai jurm saza jis ki pa raha hun main

samajh chuka hun haqiqat hayat-e-fani ki

wufur-e-gham mein bhi ab muskura raha hun main

kamal-e-faiz-e-mohabbat nahin to phir kya hai

ki zarre zarre mein ab un ko pa raha hun main

unhen ba-in KHirad-o-hosh pa saka na kabhi

mata-e-hosh-o-KHirad kho ke pa raha hun main

rah-e-majaz-o-haqiqat ke moD par 'zauqi'

khaDa hua hun magar laDkhaDa raha hun main

(665) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Junun Mein Mashq-e-tasawwur BaDha Raha Hun Main In English By Famous Poet Muhammad Ayyub Zauqi. Junun Mein Mashq-e-tasawwur BaDha Raha Hun Main is written by Muhammad Ayyub Zauqi. Read famous Poem Junun Mein Mashq-e-tasawwur BaDha Raha Hun Main for youth and Student by Muhammad Ayyub Zauqi. Free Download Junun Mein Mashq-e-tasawwur BaDha Raha Hun Main in PDF.