Faizan-e-mohabbat Na Hua Aam Abhi Tak
faizan-e-mohabbat na hua aam abhi tak
tarik hai insan ka anjam abhi tak
maiKHane mein hai tishna-labi aam abhi tak
gardish mein mohabbat ke nahin jam abhi tak
chhina hai sukun dahr ka arbab-e-KHirad ne
hain ahl-e-junun morid-e-ilzam abhi tak
wamanda-e-manzil hai jo ai rah-raw-e-shauq
shayad hai tera zauq-e-talab KHam abhi tak
is duar-e-sukun soz-o-pur-ashob mein ai dost
mayus nahin hai dil-e-nakaam abhi tak
ruKHsat hua go daur-e-KHizan fasl-e-gul aai
gulshan ke wahi hain sahar-o-sham abhi tak
pahuncha to bashar rifat-e-mirriKH-o-qamar par
qabu mein nahin gardish-e-ayyam abhi tak
duniya ne jise rifat-e-faran se suna tha
hai amn ka zamin wahi paigham abhi tak
go tabish-e-anwar se KHira hain nigahen
hai subh ke ruKH par asar-e-sham abhi tak
nadim to hain wo qatl pe arbab-e-wafa ke
lekin sar-e-fihrist hain kuchh nam abhi tak
saqi tere maiKHane ki tanzim-e-ghalat par
sunte hain ki rindon mein hai kohram abhi tak
dhabba nahin go daman-e-tahzib pe lekin
milte hain yahan banda-e-be-dam abhi tak
muddat hui kuchh rabt nahin sher-o-suKHan se
hota hai mere qalb ko ilham abhi tak
is par bhi nigah-e-karam ai fatir-e-hasti
'zauqi' hai rahin-e-gham-o-alam abhi tak
(754) Peoples Rate This