Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e0f6d8437361f7c7836ac654aa3c0319, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek Inqalab-e-musalsal Hai Zindagi Meri - Muhammad Ayyub Zauqi Poetry In English - Darsaal

Ek Inqalab-e-musalsal Hai Zindagi Meri

ek inqalab-e-musalsal hai zindagi meri

ek iztirab-e-mukammal hai KHamushi meri

ye kis maqam pe pahunchi KHud-agahi meri

ki aaj aap ne mahsus ki kami meri

mizaj-e-husn ko bhai na bandagi meri

niyaz-e-ishq mein shamil rahi KHudi meri

muhit-e-kaun-o-makan hai jamal-e-parda-nashin

wo samne the jahan tak nazar gai meri

hadis-e-dil ba-zaban-e-nazar bhi kah na saka

huzur-e-husn baDhi aur bebasi meri

gulon ka zikr hi kya gul to KHair gul hi hain

chaman ke KHar uDate hain ab hansi meri

pila pila ke nigahon se baada-e-taskin

baDha raha hai koi aur tishnagi meri

rula rula ke zamane ne intiqam liya

mujhe to ras na aai kabhi hansi meri

teri nigah ne kya de ke shad-kaam kiya

ki be-niyaz-e-tamanna hai zindagi meri

rulaegi meri yaad un ko muddaton 'zauqi'

karenge bazm mein mahsus jab kami meri

(660) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Inqalab-e-musalsal Hai Zindagi Meri In English By Famous Poet Muhammad Ayyub Zauqi. Ek Inqalab-e-musalsal Hai Zindagi Meri is written by Muhammad Ayyub Zauqi. Read famous Poem Ek Inqalab-e-musalsal Hai Zindagi Meri for youth and Student by Muhammad Ayyub Zauqi. Free Download Ek Inqalab-e-musalsal Hai Zindagi Meri in PDF.