Dur Rah Kar Watan Ki Faza Se Jab Bhi Ahbab Ki Yaad Aai
dur rah kar watan ki faza se jab bhi ahbab ki yaad aai
hijr mein rah gaya dil taDap kar aankh fart-e-alam se bhar aai
gulshan-e-hasrat-o-arzu ki jab kali koi khulne pe aai
baad-e-sarsar ne mare tamanche is KHata par ki kyun muskurai
ahl-e-zar se ye uns-o-mohabbat be-zaron se ye andaz-e-nafrat
khul gaya aap ka zohd-o-taqwa dekh li aap ki parsai
wo tasannoa hai aKHlaq kya hai wo numaish hai iKHlas kab hai
wo mohabbat nahin hai riya hai ho na jab tak dilon mein safai
un ka anjam hai sar-bulandi jin ke dil mein nahin KHud-pasandi
jin ko mahbub hai KHaksari un ko aati nahin KHud-satai
dil hai insan ka aabgina is ke jalwon ka hai ye KHazina
baiThne den na gard-e-kudurat aabgine ki rakkhe safai
roz-e-mahshar ki wo jaan-gudazi had na hogi sarasimgi ki
kaam aaegi us din yaqinan aasiyon ke liye mustafai
teri rahmat ka dil ko yaqin hai is mein mujh ko koi shak nahin hai
hogi maqbul ek rose yarab tere dar ki meri jubba-sai
daur-daura hai kizb-o-riya ka hai dilon se KHulus aaj anqa
dekhiye ab kahan ja rahi hai apne markaz se haT kar KHudai
kya ab insaniyat mar chuki hai bad-zani dil mein ghar kar chuki hai
kuchh samajh mein nahin aa raha hai kyun hai bad-KHwah bhai ka bhai
aadmi ki ye kaisi rawish hai dil mein is ke ye kaisi KHalish hai
ghair se qurbat-e-dostana aur apnon se be-e'tinai
KHidmat-e-KHalq mein din guzaren zindagi is tarah se sanwaren
aaqibat mein mile surKH-rui aur yahan bhi na ho jag-hansai
sab se behtar hai sabr-o-qanaat ruh ko is se milti hai rahat
la na harf-e-shikayat zaban par sun na 'zauqi' kisi ki burai
(767) Peoples Rate This