Wo Dil Hairan Nahin Hote
hawa aur dhup ka qarnon purana sath hai
aur zindagi mauj-e-rawan hai
wo kisi pal ruk nahin sakti
na-jaane kitne barson ki ye pur-asrar tanhai
mere dil mein
khajuron ke daraKHton ki tarah
yun istada hai
ki ujDe qartaba ke sare manzar
meri aankhon mein larazte hain
na-jaane kitne barson ki udasi ke
andhere gumbadon mein gunjte
jaan-soz andeshe
musalsal mujh pe yurish karte hain
aur undulus ke kucha-o-bazar aur baghon ko
fauladi sumon se raundte
ghoDon ki Tapon se
mera sina dhamakta hai
mere ehsas ki ye ranjishen
aur ruh ke ye dukh kisi ek saat-e-saffak ne
mujh ko nahin saunpe
ki ye to asal mein wo jal hai
tariKH ki makDi jo sadiyon se
mere andar kahin
chup-chap bunti hai
hawa aur dhup meri zindagi ke manzaron mein
be-sabaati ki alamat hain
zamin ki gardishon se tez hai
haalat ki gardish
isi ne mere sar mein KHak Dali hai
yahi to meri aankhon mein
pighalti barf ki diwar chunti hai
ye kis ki baat sunti hai
meri sanson mein
gharnata ki dhul
uDti hai
aur KHamosh dehli ki
hawaen sarsaraati hain
hun
hawa ka ruKH badalne par
wo dil hairan nahin hote
(685) Peoples Rate This