Mohabbat Ramz-e-hasti Hai
mohabbat KHwab-e-gul hai
shaKH-e-dil ki suni palkon par
larazta KHwab-e-gul
jo naKHl-e-jaan ke zard-ru
girte hue patton ki
sanson mein mahakta hai
mohabbat zindagi ke sabz ufuq par
dur tak phaili hui KHushbu ki lau hai
jo kabhi dil ke darichon mein
utar kar muskuraati hai
to har-su raushni si phail jati hai
mohabbat ramz-e-hasti hai
ye aisa bhed hai jo kitne barson
balki umron ki
musalsal be-riya kawish pe khulta hai
to goya yun mohabbat
zindagi ka istiara hai
ki jis ka har bayan alfaz ki chhab
aur lahjon ka khanak se
mawara ho kar bhi
duniya-e-maafi apni KHamoshi mein rakhta hai
mohabbat KHwab-e-gul bhi hai
mohabbat ramz-e-hasti bhi
(640) Peoples Rate This