Lamhon Ke Asrar
sham ka pahla tara
dil ke ufuq par jis ki jot se
qaus-e-quzah se utri thi
aur is quzah ne
sari dil ki duniya chamkai thi
zist ka pahla sawan tha wo
jis se jiwan-sagar mein
ek lahar uThi thi
aur is lahar ne sari hasti
jal-thal ki thi
bagh ki pahli titli thi wo
man-angan ke sune-pan mein
jis ki ek parchhain paDi thi
aur jis parchhain ko chhune ki
KHwahish mein
dasht-e-tamanna mein ja nikle the hum
dasht-e-tamanna jis mein har-su
gahra sannaTa tha
sannaTa bhi aisa jis ko koh-e-nida se
har lamha aawaz aati thi
jaane walo! yaad rahe is rah nikalne wale
lauT ke aa nahin sakte
lekin jin ko rangon ki mahkar bulae
wo roke se ruk nahin sakte
jin ke jazbe sachche hon
wo aag pe kab chalne se Darte hain
hum bhi apna man liye
rahon mein ghulti jaan liye
chalte aae, bas chalte aae
chand ki pahli raat thi wo jab
hum ko ye ehsas hua tha
hum to jiwan haar chuke hain
aur bahaar ka wo ek lamha
jis ko hum apna samjhe the
sine mein ab kabhi na bujhne wali
aag utar ke
ruKHsat mang raha tha
aur wo KHushbu jis ko pa kar
hum ne ye socha tha ki hum ko
jiwan ab tajne bhi dukh de
waqt hamare sine mein ab
chahe jitne zaKHm utare
hum pe zamana jitne chahe
war kare ab
sab hans kar sah jaenge hum
bhed muqaddar ke kya kahiye
kab wo kisi par khul sakte hain
honi to ho kar rahti hai
kab wo bhala Tal sakti hai
KHair jo hona tha so hua wo
ab to sab kuchh bit gaya hai
lekin phir bhi hone ka dukh
kam to nahin hai
aur is dukh ka bojh uThae
dard bhara ye jiwan apna
un rahon ki samt rawan hai
ant mein jin ke aa jata hai
aaKHiri moD na hone ka
pahla tara pahla sa din
pahli titli aur wo pahli chand ki raat
sab kuchh pal mein bit gaya hai
aur ab aaKHiri moD se pahle
bite KHwabon ki galiyon mein
apni bikhri zat ke reze
lamha lamha chunta hun
aane wale waqt ki chap ko sunta hun
aur sochta hun
kya wo sab kuchh jis se
meri zat ka rishta tha
wo sab kuchh pal mein bit gaya hai
kya wo sab kuchh jis se main
ab wabasta hun
yunhi pal mein bit raha hai
(736) Peoples Rate This