Zamin Bichha Ke Alag Aasman Banaun Koi
zamin bichha ke alag aasman banaun koi
zaman makan se pare ab jahan banaun koi
tamam umr chale mere sath tanhai
gharaz hi kya hai mujhe karwan banaun koi
kisi KHushi ko nahin hai agar sabaat yahan
main sochta hun ki gham jawedan banaun koi
ye dasht-e-dil ki jahan ret uDti hai shab o roz
tere liye yahin mauj-e-rawan banaun koi
jo aisi wahshat-e-jaan hai sar-e-yaqin-o-sabaat
so kyun na wahm tarashun guman banaun koi
Thaharna kab hai mujhe reg-zar-e-duniya mein
so kya paDi hai yahan aastan banaun koi
(626) Peoples Rate This