Ye Mohabbat Hai Ise Garmi-e-bazar Na Kar
ye mohabbat hai ise garmi-e-bazar na kar
lakh wahshat sahi aisa to mere yar na kar
aaj ye soch ki kal kaise sambhaalega ise
be-sabab dil mein gumanon ka ye ambar na kar
zist har aan taghayyur ka nishan hai lekin
yar kal tak jo rahe aaj unhen aghyar na kar
in badalte hue rangon ke tamashe pe na ja
ye jo duniya hai to apna ise mear na kar
masala hal bhi to ho sakta hai kuchh soch ke dekh
yun bigaD kar meri har baat se inkar na kar
main tujhe rok nahin sakta magar jate hue
ye jo imkan ka dar hai ise diwar na kar
dosti KHatm hui saf bata de mujh ko
kam se kam yun kisi dushman ki tarah war na kar
(756) Peoples Rate This