Yahi To Dukh Hai Zamin Aasman Bana Kar Bhi
yahi to dukh hai zamin aasman bana kar bhi
main dar-ba-dar hun KHud apna jahan bana kar bhi
agar ye sach hai ki har shai yahan pe fani hai
to kya karunga main kuchh jawedan bana kar bhi
musir hai is pe mujhe raegan nahin hona
wo zindagi ko mari raegan bana kar bhi
kise dikhaun jo tarikiyan sameTi hain
qadam qadam pe nai kahkashan bana kar bhi
kuchh aur log magar baad-azan use yaad aae
wo KHush nahin tha hamein dastan bana kar bhi
khula masafat-e-hasti mein kam nahin hote
safar ke ranj-o-alam karwan bana kar bhi
(695) Peoples Rate This