Qarine Zist Mein The SoKHta-jaani Se Pahle
qarine zist mein the soKHta-jaani se pahle
bahut aabaad the hum KHana-virani se pahle
badalte mausamon ke sath gham bhi aae lekin
ghamon ki shan alag thi is farawani se pahle
inhi KHush-zauq logon mein bahut charche rahe hain
hamari KHush-libasi ke bhi uryani se pahle
jo yar-e-mehrban nalan hai ab meri talab se
use shikwa tha meri tang-damani se pahle
baDa zirak bahut dana tujhe hum jaante the
dil-e-nadan teri is hashr-samani se pahle
ye parda hai kisi shai ka wagarna hum ne yaro
baDe tufan uThae hain tan-asani se pahle
yahan ek bagh tha jis mein chahakte the parinde
yahin is qarya-e-jaan ki bayabani se pahle
ye mahjubi ye KHamoshi hamesha se nahin hai
lab-e-goya the hum bhi apni hairani se pahle
(569) Peoples Rate This