Mujhe Jis Ne Mera Pata Diya Wo Gham-e-nihan Mere Sath Hai
mujhe jis ne mera pata diya wo gham-e-nihan mere sath hai
meri zindagi meri raushni dil-be-aman mere sath hai
mera karwan jo bichhaD gaya mere dil ka naqsh bigaD gaya
main hun ek musafir gum-shuda so yahi fughan mere sath hai
isi aarzu ki taDap liye yunhi phir raha hun main dar-ba-dar
wahi KHak hai mere sar mein bhi wahi aasman mere sath hai
ye jo aankh aaj chhalak uThi mere dil ka bhed hi khul gaya
main samajh raha tha ye ab talak gham-e-be-nishan mere sath hai
jo gae dinon pe uThi nazar mere dil ne KHud ye kaha mujhe
main kisi tilism-kade mein hun koi dastan mere sath hai
baDi muddaton ke baad jo ab teri yaad aai to yun laga
sar-e-dasht-e-wahshat zindagi koi mehrban mere sath hai
yahi soch kar main hun mutmain tahi-dast phir bhi nahin hun main
mere dost go ki chale gae gham-e-dostan mere sath hai
kisi tal par kisi tan par meri ruh aaj hai wajd mein
mera wahm hai ki haqiqatan koi naghma-KHwan mere sath hai
ye ajab rang-e-mizaj hai magar ab yahi mujhe ras hai
kabhi DhunDhta hun main KHud ko bhi kabhi ek jahan mere sath hai
(680) Peoples Rate This