Main Din Bhar Pahle Is Duniya Ki Jaulani Mein Rahta Hun
main din bhar pahle is duniya ki jaulani mein rahta hun
magar phir raat bhar dil ki bayabani mein rahta hun
yahan logon ke dil aur chehre har lahza badalte hain
mujhe lagta hai main ek dasht-e-imkani mein rahta hun
mujhe kuchh fikr-e-farda hai na koi haal ki uljhan
ki main to guzre waqton ki pareshani mein rahta hun
jo ab tak kar nahin paya KHalish jaan-soz hai us ki
jo kar baiTha hun ab us ki pashemani mein rahta hun
mujhe har rose ye duniya nai surat mein milti hai
main paiham is shanasai ki hairani mein rahta hun
(621) Peoples Rate This