Kuchh Dard Jagae Rakhte Hain Kuchh KHwab Sajae Rakhte Hain
kuchh dard jagae rakhte hain kuchh KHwab sajae rakhte hain
is dil ke sahaare jiwan mein hum baat banae rakhte hain
aise bhi marahil aate hain is manzil-e-ishq ki rahon mein
jab ashk bahate hain KHud bhi us ko bhi rulae rakhte hain
kya us se kahen aur kaise kahen un rang badalti aankhon se
kya shauq umaDte hain dil mein kya wahm satae rakhte hain
ek baat pe aa kar aaj hamein iqrar ye us se karna paDa
kab yaad nahin karte us ko kab us ko bhulae rakhte hain
sad-rang nazare the jis mein wo dil ka chaman kya tum se kahen
kyun us ko ujaD ke baiThe hain kyun KHak uDae rakhte hain
muhtaj nahin hai kisht-e-jaan mausam ke badalte dhaaron ki
kuchh dagh to dil mein be-mausam sau phul khilae rakhte hain
aashiq bhi nahin sadhu bhi nahin phir raaz hai kya ye 'mirza'-ji
kis aanch se dahka hai sina kya aag jalae rakhte hain
(655) Peoples Rate This