KHushi Se Zist Ka Har Dukh UThae Jate Hain
KHushi se zist ka har dukh uThae jate hain
hum ahl-e-dil ki riwayat nibhae jate hain
junun ki rah mein bujh bujh ke ab bhi diwane
charagh shola-e-jaan se jalae jate hain
wo fard-e-jurm hi ai munsifo nahin meri
mujhe ye faisle jis par sunae jate hain
talluqat mein do tarfa sard-mehri hai
bas ek waza ko donon nibhae jate hain
KHushi to DhunDe bhi is daur mein nahin milti
ye kaun log hain jo muskurae jate hain
(686) Peoples Rate This