Kab Meri Halqa-e-wahshat Se Rihai Hui Hai
kab meri halqa-e-wahshat se rihai hui hai
dil ne ek aur bhi zanjir banai hui hai
aur kya hai mere daman mein mohabbat ke siwa
yahi daulat meri mehnat se kamai hui hai
ishq mein jurat-e-tafriq nahin qais ko bhi
tu ne kyun dasht mein diwar uThai hui hai
teri surat jo main dekhun to guman hota hai
to koi nazm hai jo wajd mein aai hui hai
ek pari-zad ke yaadon mein utar aane se
zindagi wasl ki barish mein nahai hui hai
apni miTTi se mohabbat hai mohabbat hai mujhe
isi miTTi ne meri shan baDhai hui hai
samne baiTh ke dekha tha use wasl ki raat
aur wo raat hi aasab pe chhai hui hai
tum gae ho ye watan chhoD ke jis din se 'said'
ek udasi dar o diwar pe chhai hui hai
(558) Peoples Rate This