Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9b14678dcbd9bd830e79ee696fc959c5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Siyani - Mubashshir Ali Zaidi Poetry In English - Darsaal

Siyani

wo laDki har paheli bujh leti hai

use har muamma hal karna aata hai

har uljhan ko suljha leti hai

har masale ka hal talash kar leti hai

har mushkil ko aasan bana deti hai

har pareshani dur kar deti hai

chand ke us par ki KHabar le aati hai

gahre samundar ki tah mein jhank leti hai

hatheli par naqsh lakiren paDh sakti hai

chehre par ubhri hui tahriren samajh jati hai

aankhon mein chhupe hue dard jaan leti hai

tamam sawalat ke jawab use aate hain

bas mere ek sawal ka jawab kabhi nahin deti

wo laDki hai ya koi paheli hai

(2291) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Siyani In English By Famous Poet Mubashshir Ali Zaidi. Siyani is written by Mubashshir Ali Zaidi. Read famous Poem Siyani for youth and Student by Mubashshir Ali Zaidi. Free Download Siyani in PDF.