Ism-e-azam
main mashhur ho gaya hun
achanak itna ziyaada
ki wo log mujhe bura kahne lage hain
jo kabhi mujhe mile hi nahin
jo mujhe jaante hi nahin
maherin-e-nafsiyat kahte hain
ghair-haqiqi duniya mein rahne wale
jazbaati log
KHud ko hero samajh kar
jagti aankhon ke KHwabon mein
apni marzi ke wilen taKHliq kar lete hain
is ghalat-fahmi ka talluq
un ke shuur se nahin hota
un ke aamal se nahin hota
un ke shajre se nahin hota
ye ek zehni aariza hai
is liye
mujhe kisi se shikayat nahin
marizon se hamdardi hai
aur thoDi si KHushi bhi
ki galiyon se kali karne wale
kuchh logon ko
mera nam le kar
taskin milne lagi hai
mera nam
ism-e-azam ban gaya hai
(1969) Peoples Rate This