Payaade
shatranj ki bisat par
baadshah qila-band rahta hai
jang wazir laDta hai
baadshah ki sari ummiden
wazir se wabasta yunhi hain
wazir apne mohron ko tahaffuz deta hai
dusre ke mohron ko shikar karta hai
khel aage baDhta hai
qilon mein shigaf paD jata hai
wazir agle mahaz par laDte laDte
kaam aa jata hai
lekin bazi KHatm nahin hoti
baadshah qile se nikalta hai
pyaadon par bharosa karta hai
payaade hausla pate hain
rah ki rukawaTen haTate hain
aage baDhte baDhte
kuchh der mein
wazir ban jate hain
(1954) Peoples Rate This