Lapata
main lapata ho gaya hun
kai hafte hue
police ko report likhwae
tab se roz thane jata hun
hawaldar se puchhta hun
mera kuchh pata chala
hamdard police afsar mayusi se sar hilata hai
phansi phansi aawaz mein kahta hai
abhi tak tumhaara kuchh suragh nahin mila
phir wo tasalli deta hai
kisi na kisi din
tum mil hi jaoge
behosh
kisi saDak ke kinare
ya buri tarah zaKHmi
kisi aspatal mein
ya lash ki surat
kisi nadi mein
meri aankhon mein aansu aa jate hain
main bazar chala jata hun
apna istiqbaal karne ke liye
gul-farosh se phul KHaridta hun
apne zaKHmon ke liye
chemist se
marham-paTTi ka saman
thoDi rui
aur dard-kusha goliyan
apni aaKHiri rusumat ke liye
masjid ki dukan se ek kafan
aur apni yaad manane ke liye
kai mom-battiyan
kuchh log kahte hain
kisi ke marne par
mom-batti nahin jalani chahiye
lekin wo ye nahin batate
ki aankh ka tara lapata ho jae
to raushni kahan se laen
ghar ka charagh bujh jae
to phir kya jalaen
(2507) Peoples Rate This