Main Wo Ek Jins-e-giran Hun Sar-e-bazar Ki Bas
main wo ek jins-e-giran hun sar-e-bazar ki bas
hath yun milte hain hasrat se KHaridar ki bas
aaj tak ahl-e-wafa se na kisi ne puchha
aur jari rahe shughl-e-rasan-o-dar ki bas
chilchilati hui ye dhup ye tapte maidan
aur idhar hausla-e-dil ka wo israr ki bas
aa gaya yazdan ko taras aaKHir kar
itna sharminda-o-nadim tha gunahgar ki bas
shiddat-e-shauq mein had se na guzar jae kahin
koi kar de dil-e-nadan ko KHabar-dar ki bas
ji yahi kahta hai ab chal ke wahin ja Thahro
hum ne viranon mein dekhe hain wo aasar ki bas
daulat-e-aish mila karti hai na-danon ko
ahl-e-idrak jiya karte hain yun KHwar ki bas
chup hi is daur mein rahiye to munasib hai 'shamim'
kan yun rakhte hain warna dar-o-diwar ki bas
(659) Peoples Rate This