Kam-nigahi Ka Shikwa Kaisa Apne Ya Begane Se
kam-nigahi ka shikwa kaisa apne ya begane se
ab hum apne aap ko KHud hi lagte hain anjaane se
muddat guzri Dub chuka hun dard ki pyasi lahron mein
zinda hun ye koi na jaane sans ke aane jaane se
dasht mein tanha ghum raha hun dil mein itni aas liye
koi bagula aa Takrae shayad mujh diwane se
jal-marna to sahl hai lekin jalte rahna mushkil hai
shama ki itni baat to koi ja kah de parwane se
lakh bataya lakh jataya duniya kya hai kaisi hai
phir bhi ye dil baz na aaya KHud hi dhoke khane se
ab to chhu kar dekh na mujh ko apni ThanDi rakh hun main
mumkin hai phir shole bhaDken tere hath lagane se
log sunate hain kuchh qisse mere ahd-e-jawani ke
jaise hon ye KHwab ki baaten hon ye 'shamim' afsane se
(674) Peoples Rate This