Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5ea388dd46e042e8579f531167c831ca, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kahte Hain Ki De Meri Bala Dad Kisi Ki - Mubarak Azimabadi Poetry In English - Darsaal

Kahte Hain Ki De Meri Bala Dad Kisi Ki

kahte hain ki de meri bala dad kisi ki

kanon ko maza deti hai fariyaad kisi ki

rona hai tera kaam magar dida-e-tar dekh

taswir-e-KHyali na ho barbaad kisi ki

karta hun gila un se jo virani-e-dil ka

kahte hain ye basti nahin aabaad kisi ki

aabaad KHuda rakkhe tujhe ku-e-mohabbat

miTTi nahin hoti yahan barbaad kisi ki

kuchh aur to hum pas 'mubarak' nahin rakhte

rakhta hai tamanna dil-e-nashad kisi ki

(565) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahte Hain Ki De Meri Bala Dad Kisi Ki In English By Famous Poet Mubarak Azimabadi. Kahte Hain Ki De Meri Bala Dad Kisi Ki is written by Mubarak Azimabadi. Read famous Poem Kahte Hain Ki De Meri Bala Dad Kisi Ki for youth and Student by Mubarak Azimabadi. Free Download Kahte Hain Ki De Meri Bala Dad Kisi Ki in PDF.