Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3d17cf69ceab51c1ac8b4e18d166b99c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dekhe Use Har Aankh Ka Ye Kaam Nahin Hai - Mubarak Azimabadi Poetry In English - Darsaal

Dekhe Use Har Aankh Ka Ye Kaam Nahin Hai

dekhe use har aankh ka ye kaam nahin hai

kuchh khel tamasha-e-lab-e-baam nahin hai

main mo'tarif-e-jurm hun jo chaho saza do

ilzam-e-tamanna koi ilzam nahin hai

wo subh bhi hoti hai shab-e-tar se paida

jis ko KHatar-e-tirgi-e-sham nahin hai

jo dil hai wo labrez-e-tamanna hai 'mubarak'

is jam se achchha to koi jam nahin hai

(567) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekhe Use Har Aankh Ka Ye Kaam Nahin Hai In English By Famous Poet Mubarak Azimabadi. Dekhe Use Har Aankh Ka Ye Kaam Nahin Hai is written by Mubarak Azimabadi. Read famous Poem Dekhe Use Har Aankh Ka Ye Kaam Nahin Hai for youth and Student by Mubarak Azimabadi. Free Download Dekhe Use Har Aankh Ka Ye Kaam Nahin Hai in PDF.