Zamin-e-fikr Mein Lafzon Ke Jangal ChhoD Jaana
zamin-e-fikr mein lafzon ke jangal chhoD jaana
ghazal mein apni koi sher mohmal chhoD jaana
hain na-manus abhi karb-e-tamasha se nigahen
dayar-e-jaan mein aashob-e-musalsal chhoD jaana
nazar aaen kabhi tahrir mein be-rabt fiqre
kabhi peshani-e-tanqid pe bal chhoD jaana
baDi mushkil se hota hai koi darwesh-KHaslat
miyan aasan nahin kamKHwab-o-maKHmal chhoD jaana
ki ras aata nahin aankhon ko ab shoalon ka mausam
hawaon is taraf bhi la ke baadal chhoD jaana
'mubarak' bas yahi ek aaKHiri KHwahish hai apni
jo mujh ko qatl karna ho to maqtal chhoD jaana
(681) Peoples Rate This