Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d6f98c0bd85136e755919a5f243a7ff2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Dosti Ka Taqaza Hai Isko Dhyan Mein Rakh - Mubarak Ansari Poetry In English - Darsaal

Ye Dosti Ka Taqaza Hai Isko Dhyan Mein Rakh

ye dosti ka taqaza hai is ko dhyan mein rakh

hamesha fasla thoDa sa darmiyan mein rakh

badalne wala hai KHurshid-tab ka mausam

to koi der abhi KHud ko saeban mein rakh

safina KHud hi tera ja lagega sahil se

hawa lapeT ke thoDi si baadban mein rakh

subut apni shujaat ka tujh ko dena hai

shikasta tir kaDakti hui kaman mein rakh

tere suKHan ke sada log honge girwida

miThas urdu ki thoDi bahut zaban mein rakh

'mubarak' aur kahin par panah-gah na DhunD

tu apne aap ko allah ki aman mein rakh

(707) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Dosti Ka Taqaza Hai Isko Dhyan Mein Rakh In English By Famous Poet Mubarak Ansari. Ye Dosti Ka Taqaza Hai Isko Dhyan Mein Rakh is written by Mubarak Ansari. Read famous Poem Ye Dosti Ka Taqaza Hai Isko Dhyan Mein Rakh for youth and Student by Mubarak Ansari. Free Download Ye Dosti Ka Taqaza Hai Isko Dhyan Mein Rakh in PDF.