Khinch Kar Mujhko Har Ek Naqsh-o-nishan Le Jae
khinch kar mujh ko har ek naqsh-o-nishan le jae
kya pata zauq-e-safar mera kahan le jae
kaam ye har kas-o-na-kas ke nahin hai bas ka
jis ko sach kahna ho KHanjar pe zaban le jae
sirf ek bar tabassum wo uchhaale to idhar
aur badle mein mera sara jahan le jae
jis ko dikhlani ho duniya ko shujaat apni
wahi sar apna sar-e-nok-e-sinan le jae
kahin raushan nazar aate nahin ab sar ke charagh
arsa-e-jang se wo KHud ko kahan le jae
apni ghazlon mein jise rang-e-quzah bharna ho
wo 'mubarak' mera ejaz-e-bayan le jae
(542) Peoples Rate This