Guman Ki Qaid-e-hisar-e-qayas Se Niklo
guman ki qaid-e-hisar-e-qayas se niklo
kisi tarah se bhi is sabz ghas se niklo
ye shahr-e-sang hai shahr-e-wafa nahin hai ye
agar nikalna hai hosh-o-hawas se niklo
wagarna waqt tumhein hashiye pe rakh dega
yaqin ke sehr se aashob-e-as se niklo
ye kaisa nashsha hai aaKHir jo TuTta hi nahin
koi pukar raha hai gilas se niklo
kahan talak main nigahon ko dun fareb apni
kabhi to gard-e-adam ke libas se niklo
'mubarak' aag ke dariya se bhi guzarna hai
dahakti dhup se sahra ki pyas se niklo
(548) Peoples Rate This