Bujha Chuki Hai Hawa Jis Ko Wo Diya Bhi Main
bujha chuki hai hawa jis ko wo diya bhi main
magar ye dekh bahut der tak jala bhi main
tawil dhup ki shiddat hawaon ki yurish
sahi bhi main ne sar-e-dasht-e-gham khila bhi main
mile qayam ke ahkaam bhi mujhi ko yahan
masafaton ka parastar ek tha bhi main
mere nasib mein patjhaD ke raston ka safar
sada-bahaar dayaron se aashna bhi main
mujhi se aai thi milne udas chandni raat
agar ye jaanta hota to jagta bhi main
meri taraf thin kabhi barishen bhi phulon ki
hisar-e-sang-o-sada mein ghira hua bhi main
ye sochta hun kahun KHud ko 'qasmi'! main kya?
sukut bhi mere andar bahut sada bhi main
(401) Peoples Rate This