Ek ThanDi Os Mein LipTi Nazar Ki Raushni Hai
ek ThanDi os mein lipTi nazar ki raushni hai
aur labon par guzre waqton ki purani chashni hai
aur main hun
falsafa rachne ki dhun mein bistar par silwaTen hain
adh-khuli aankhon mein KHwabon ki dhaDakti karwaTen hain
aur main hun
KHushbuon se tar hawa mein koi bojhal sham Dhalti
rang sare ho gae bad-rang phir bhi sans chalti
aur main hun
tum nahin ho aur tumhaari yaad ke sae bhi ghaeb
bhulte jate hain chahat ke mohabbat ke sabhi Dhab
ek an-suljhi paheli zindagi bhar ki tapasya
aur main hun sirf main hun
(632) Peoples Rate This