Tosha-e-dhup Se Jismon Ko Tarashe Suraj
tosha-e-dhup se jismon ko tarashe suraj
kabhi patthar pe bhi kuchh naqsh ubhaare suraj
muddaten guzrin andheron mein basar karta hun
meri basti mein kabhi koi ugae suraj
main ki girwida-e-shab hun ye baja ham-nafaso
par kabhi aa ke sadaen de pukare suraj
shab ke daman mein bhi hain chand sitare lekin
dhup pahlu mein liye aankh dikhae suraj
teri yaadon ka karam meri nigahon ki 'tapish'
thak gaya hun meri palkon se uThae suraj
(1793) Peoples Rate This