Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6492bf1c64963a491ca6216e4b5c0175, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
SannaTon Ke Jangal Mein Khoi Hui KHushbu Thi - Moni Gopal Tapish Poetry In English - Darsaal

SannaTon Ke Jangal Mein Khoi Hui KHushbu Thi

sannaTon ke jangal mein khoi hui KHushbu thi

aahaT jo suni koi sahmi hui KHushbu thi

us ghar mein gulabon se kuchh rag mahakte the

mahaul mein jadu tha gati hui KHushbu thi

guftar mein phulon ki barsat ka aalam tha

pahna hua gulshan tha oDhi hui KHushbu thi

Dali se koi mausam jiyun TuT ke gir jae

be-rabt hawaon mein uDti hui KHushbu thi

tum ne kabhi socha hai tum ne kabhi jaana hai

kahte hain 'tapish' jis ko bikhri hui KHushbu thi

(551) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

SannaTon Ke Jangal Mein Khoi Hui KHushbu Thi In English By Famous Poet Moni Gopal Tapish. SannaTon Ke Jangal Mein Khoi Hui KHushbu Thi is written by Moni Gopal Tapish. Read famous Poem SannaTon Ke Jangal Mein Khoi Hui KHushbu Thi for youth and Student by Moni Gopal Tapish. Free Download SannaTon Ke Jangal Mein Khoi Hui KHushbu Thi in PDF.