Raat Kitni Raushan Hai Kuchh Likha-paDhi Kar Len Aao Phir Ghazal Kah Len
raat kitni raushan hai kuchh likha-paDhi kar len aao phir ghazal kah len
chandni ke manzar mein do ghaDi zara dahken aao phir ghazal kah len
in andheri raaton ke KHaufnak sayon se bach ke subh tak ji len
zahr dhup ka chakh kar maut ko ziya baKHshen aao phir ghazal kah len
wo ki ek chehra hai ya kitab ya dariya ya koi samundar hai
nim-baz aankhon mein us ki jhank kar dekhen aao phir ghazal kah len
chandni ka ras pine dur tak nikal jaen bhul jaen duniya ko
khurduri si saDkon par der tak yunhi ghumen aao phir ghazal kah len
jaan-nashin se dushman tak sare rishte naton ko phenk den samundar mein
lahr lahr bedari ki hasin rida oDhen aao phir ghazal kah len
dardnak chehron par muskurahaTen oDhe KHud ko ja-ba-ja bechen
hum 'tapish' tumhein guzra waqt man kar sochen aao phir ghazal kah len
(614) Peoples Rate This