Gard-aluda Faza Binai Gard-alud Thi
gard-aluda faza binai gard-alud thi
pattharon ke shahr mein sunwai gard-alud thi
pattiyon par thi raqam sare chaman ki dastan
aur chaman ki dastan-arai gard-alud thi
KHun mein Dubi hui kuchh ungliyan thin soch mein
dur wo tha hashiya-arai gard-alud thi
wo use oDhe raha chehre pe KHushbu ki tarah
han wahi jis shaKHs ki tanhai gard-alud thi
ab ki rut badli to phulon ko pasina aa gaya
ab ki KHushbu ki karam-farmai gard-alud thi
main 'tapish' jin raghbaton ko oDh kar phirta raha
wo dar-o-diwar wo angnai gard-alud thi
(625) Peoples Rate This