Wade Ki Jo Saat Dam-e-kushtan Hai Hamara
wade ki jo saat dam-e-kushtan hai hamara
jo dost hamara hai so dushman hai hamara
ye kah-e-ruba se bhi hain kam ai kashish-e-dil
mazkur kuchh aisa pas-e-chilman hai hamara
afsos mu-e-sham-e-shab-e-wasl ki manind
jo qahqaha shadi hai so shewan hai hamara
mahtab ka kya rang kiya dud-e-fughan ne
ahwal shab-e-tar se raushan hai hamara
deta nahin us zof pe bhi josh-e-junun chain
har reg-e-rawan dasht mein tausan hai hamara
tafrih na kyunkar ho hawa aa nahin sakti
goya dar o diwar nasheman hai hamara
gar pas hai logon ka to aa ja ki qalaq se
hai lash kahin aur kahin madfan hai hamara
jazb-e-dil use khinch ke lae to kahan lae
jo ghair ka ghar hai wahi maskan hai hamara
but-KHane se kabe ko chale rashk ke mare
'momin' KHizr-e-rah barhaman hai hamara
(649) Peoples Rate This