Wada-e-waslat Se Dil Ho Shad Kya
wada-e-waslat se dil ho shad kya
tum se dushman ki mubarakbaad kya
kuchh qafas mein in dinon lagta hai ji
aashiyan apna hua barbaad kya
nala-e-paiham se yan fursat nahin
hazrat-e-naseh karen irshad kya
hain asir us ke jo hai apna asir
hum na samjhe said kya sayyaad kya
shoKH-bazari thi shirin bhi magar
warna farq-e-KHusrau-o-farhad kya
nashsha-e-ulfat se bhule yar ko
sach hai aisi be-KHudi mein yaad kya
nala ek dam mein uDa Dale dhuen
charKH kya aur charKH ki buniyaad kya
jab mujhe ranj-e-dil-azari na ho
bewafa phir hasil-e-bedad kya
panw tak pahunchi wo zulf-e-KHam-ba-KHam
sarw ko ab bandhiye aazad kya
kya karun allah sab hain be-asar
walwala kya nala kya fariyaad kya
in nasibon par kiya aKHtar-shanas
aasman bhi hai sitam-ijad kya
roz-e-mahshar ki tawaqqo hai abas
aisi baaton se ho KHatir shad kya
gar baha-e-KHun-e-ashiq hai visal
intiqam-e-zahmat-e-jallad kya
but-kada jannat hai chaliye be-hiras
lab pe 'momin' harche baada-baad kya
(801) Peoples Rate This