Thani Thi Dil Mein Ab Na Milenge Kisi Se Hum
Thani thi dil mein ab na milenge kisi se hum
par kya karen ki ho gae na-chaar ji se hum
hanste jo dekhte hain kisi ko kisi se hum
munh dekh dekh rote hain kis bekasi se hum
hum se na bolo tum ise kya kahte hain bhala
insaf kije puchhte hain aap hi se hum
be-zar jaan se jo na hote to mangte
shahid shikayaton pe teri muddai se hum
us ku mein ja marenge madad ai hujum-e-shauq
aaj aur zor karte hain be-taqati se hum
sahab ne is ghulam ko aazad kar diya
lo bandagi ki chhuT gae bandagi se hum
be-roe misl-e-abr na nikla ghubar-e-dil
kahte the un ko barq-e-tabassum hansi se hum
in na-tawaniyon pe bhi the KHar-e-rah-e-ghair
kyun kar nikale jate na us ki gali se hum
kya gul khilega dekhiye hai fasl-e-gul to dur
aur su-e-dasht bhagte hain kuchh abhi se hum
munh dekhne se pahle bhi kis din wo saf tha
be-wajh kyun ghubar rakhen aarsi se hum
hai chheD iKHtilat bhi ghairon ke samne
hansne ke badle roen na kyun gudgudi se hum
wahshat hai ishq-e-parda-nashin mein dam-e-buka
munh Dhankte hain parda-e-chashm-e-pari se hum
kya dil ko le gaya koi begana-ashna
kyun apne ji ko lagte hain kuchh ajnabi se hum
le nam aarzu ka to dil ko nikal len
'momin' na hon jo rabt rakhen bidati se hum
(1846) Peoples Rate This