Tasir Sabr Mein Na Asar Iztirab Mein
tasir sabr mein na asar iztirab mein
bechaargi se jaan paDi kis azab mein
be-nala munh se jhaDte hain be-girya aankh se
ajza-e-dil ka haal na puchh iztirab mein
charKH o zamin mein tauba ka milta nahin suragh
hangama-e-bahaar o hujum-e-sahab mein
ai zohra-chehra dushman-e-manhus ko na dekh
nale bahenge KHun ke is fatah-yab mein
itni kudurat ashk mein hairan hun kya kahun
dariya mein hai sarab ki dariya sarab mein
fikr-e-maal se mai o shahid rahe aziz
piri mein maut yaad thi piri shabab mein
tum nikle bahr-e-sair to niklega mehr bhi
howega ijtima shab-e-mahtab mein
Dubi hujum-e-ashk se kashti zamin ki
mahi ko iztirab hua josh-e-ab mein
khola jo daftar-e-gila apna ziyan kiya
guzri shab-e-visal sitam ke hisab mein
ai hashr jald kar tah-o-baala jahan ko
yun kuchh na ho ummid to hai inqilab mein
qatil jafa se baz na aaya wafa se hum
fitrak mein jo sar hai to jaan hai rikab mein
bazicha kar diya sitam-e-yar o jaur-e-charKH
tifli se ghalghala hai mera shaiKH o shab mein
'momin' ye aalam us sanam-e-jaan-faza ka hai
dil lag gaya jahan-e-sarasar-KHarab mein
(1005) Peoples Rate This