Sabr Wahshat-asar Na Ho Jae
sabr wahshat-asar na ho jae
kahin sahra bhi ghar na ho jae
rashk-e-paigham hai inan-kash-e-dil
nama-bar rahbar na ho jae
dekho mat dekhiyo ki aaina
ghash tumhein dekh kar na ho jae
hijr-e-parda-nashin mein marte hain
zindagi parda-e-dar na ho jae
kasrat-e-sajda se wo naqsh-e-qadam
kahin pamal-e-sar na ho jae
mere taghir-e-rang ko mat dekh
tujh ko apni nazar na ho jae
mere aansu na ponchhna dekho
kahin daman tar na ho jae
baat naseh se karte Darta hun
ki fughan be-asar na ho jae
ai qayamat na aaiyo jab tak
wo meri gor par na ho jae
mana-e-zulm hai taghaful-e-yar
baKHt-e-bad ko KHabar na ho jae
ghair se be-hijab milte ho
shab-e-ashiq sahar na ho jae
rashk-e-dushman ka faeda malum
muft ji ka zarar na ho jae
ai dil aahista aah-e-tab-shikan
dekh TukDe jigar na ho jae
'momin' iman qubul dil se mujhe
wo but aazurda gar na ho jae
(650) Peoples Rate This