Roya Karenge Aap Bhi Pahron Isi Tarah
roya karenge aap bhi pahron isi tarah
aTka kahin jo aap ka dil bhi meri tarah
aata nahin hai wo to kisi Dhab se daw mein
banti nahin hai milne ki us ke koi tarah
tashbih kis se dun ki tarah-dar ki mere
sab se nirali waza hai sab se nai tarah
mar chuk kahin ki tu gham-e-hijran se chhuT jae
kahte to hain bhale ki wa-lekin buri tarah
ne tab hijr mein hai na aaram wasl mein
kam-baKHt dil ko chain nahin hai kisi tarah
lagti hain galiyan bhi tere munh se kya bhali
qurban tere phir mujhe kah le usi tarah
pamal hum na hote faqat jaur-e-charKH se
aai hamari jaan pe aafat kai tarah
ne jae wan bane hai ne bin jae chain hai
kya kijiye hamein to hai mushkil sabhi tarah
mashuq aur bhi hain bata de jahan mein
karta hai kaun zulm kisi par teri tarah
hun jaan-ba-lab butan-e-sitamgar ke hath se
kya sab jahan mein jite hain 'momin' isi tarah
(996) Peoples Rate This