Raaz-e-nihan Zaban-e-aghyar Tak Na Pahuncha
raaz-e-nihan zaban-e-aghyar tak na pahuncha
kya ek bhi hamara KHat yar tak na pahuncha
allah re na-tawani jab shiddat-e-qalaq mein
baalin se sar uThaya diwar tak na pahuncha
rote to rahm aata so us ke ru-ba-ru to
ek qatra KHun bhi chashm-e-KHun-bar tak na pahuncha
aashiq se mat bayan kar qatl-e-adu ka muzhda
paigham-e-marg hai ye bimar tak na pahuncha
be-baKHt rang-e-KHubi kis kaam ka ki main to
tha gulwale kisi ki dastar tak na pahuncha
muft awwal-e-suKHan mein aashiq ne jaan de di
qasid bayan tera iqrar tak na pahuncha
thi KHar rah teri mizhgan ki yaad phir shab
ta-subh KHwab chashm-e-bedar tak na pahuncha
baKHt-e-rasa adu ke jo chahe so kahe ab
yak bar yar mujh tak main yar tak na pahuncha
ghairon se us ne hargiz chhoDi na hatha-pai
jab tak ajal ka sadma do-chaar tak na pahuncha
'momin' usi ne mujh se di bartari kisi ko
jo past-fahm mere ashaar tak na pahuncha
(668) Peoples Rate This