Qahr Hai Maut Hai Qaza Hai Ishq
qahr hai maut hai qaza hai ishq
sach to yun hai buri bala hai ishq
asar-e-gham zara bata dena
wo bahut puchhte hain kya hai ishq
aafat-e-jaan hai koi parda-nashin
ki mere dil mein aa chhupa hai ishq
bul-hawas aur laf-e-jaan-bazi
khel kaisa samajh liya hai ishq
wasl mein ehtimal-e-shadi-e-marg
chaaragar dard-e-be-dawa hai ishq
sujhe kyunkar fareb-e-dildari
dushman-ashna-numa hai ishq
kis malahat-sirisht ko chaha
talKH-kaami pe ba-maza hai ishq
hum ko tarjih tum pe hai yani
dilruba husn o jaan-ruba hai ishq
dekh haalat meri kahen kafir
nam dozaKH ka kyun dhara hai ishq
dekhiye kis jagah Dubo dega
meri kashti ka naKHuda hai ishq
ab to dil ishq ka maza chakkha
hum na kahte the kyun bura hai ishq
aap mujh se nibahenge sach hai
ba-wafa husn o bewafa hai ishq
main wo majnun-e-wahshat-ara hun
nam se mere bhagta hai ishq
qais o farhad o wamiq o 'momin'
mar gae sab hi kya waba hai ishq
(1525) Peoples Rate This