Na Intizar Mein Yan Aankh Ek Aan Lagi
na intizar mein yan aankh ek aan lagi
na hae hae mein talu se shab zaban lagi
jala jigar tap-e-gham se phaDakne jaan lagi
ilahi KHair ki ab aag pas aan lagi
gali mein us ki na phir aate hum to kya karte
tabiat apni na jannat ke darmiyan lagi
jafa-e-ghair ka shikwa tha tera tha kya zikr
abas ye baat buri tujh ko bad-guman lagi
hanso na tum to mere haal par main hun wo zalil
ki jis ki zillat-o-KHwari se tum ko shan lagi
kahan wo aah-o-fughan dam bhi le nahin sakte
hamein ye teri dua-e-bad aasman lagi
main aur us ko bulaunga roz-e-wasl mein lo
ajal bhi karne mohabbat ka imtihan lagi
ba-rang-e-surat-e-bulbul nahin nawa-sanji
ye kya hua ki chup ai gulsitan bayan lagi
sada tumhaari taraf ji laga hi rahta hai
tumhaare waste hai dil ko mehrban lagi
wo kina-tuz tha 'momin' to dil lagaya kyun
kaho to kya tumhein aisi bhali wo aan lagi
(688) Peoples Rate This