Momin KHuda Ke Waste Aisa Makan Na ChhoD
'momin' KHuda ke waste aisa makan na chhoD
dozaKH mein Dal KHuld ko ku-e-butan na chhoD
aashiq to jaante hain wo ai dil yahi sahi
har-chand be-asar hai par aah o fughan na chhoD
us tab-e-naznin ko kahan tab-e-infial
jasus mere waste ai bad-guman na chhoD
na-chaar denge aur kisi KHub-ru ko dil
achchha tu apni KHu-e-bad ai bad-zaban na chhoD
zaKHmi kiya udu ko to marna muhaal hai
qurban jaun tere mujhe nim-jaan na chhoD
kuchh kuchh durust zid se teri ho chale hain wo
yak-chand aur kaj-rawi ai aasman na chhoD
jis kuche mein guzar saba ka na ho sake
ai andalib us ke liye gulsitan na chhoD
gar phir bhi ashk aaen to jaanun ki ishq hai
huqqe ka munh se ghair ki jaanib dhuan na chhoD
hota hai is jahim mein hasil visal-e-jaur
'momin' ajab bahisht hai dair-e-mughan na chhoD
(845) Peoples Rate This