Main Agar Aap Se Jaun To Qarar Aa Jae
main agar aap se jaun to qarar aa jae
par ye Darta hun ki aisa na ho yar aa jae
bandho ab chaaragaro chille ki wo bhi shayad
wasl-e-dushman ke liye su-e-mazar aa jae
kar zara aur bhi ai josh-e-junun KHwar o zalil
mujh se aisa ho ki naseh ko bhi aar aa jae
nam-e-bad-baKHti-e-ushshaq-e-KHizan hai bulbul
tu agar nikle chaman se to bahaar aa jae
jite ji ghair ko ho aatish-e-dozaKH ka azab
gar meri nash pe wo shola-azar aa jae
kulfat-e-hijr ko kya roun tere samne main
dil jo KHali ho to aankhon mein ghubar aa jae
mahw-e-dildar hun kis tarah na hun dushman-e-jaan
mujh pe jab naseh-e-bedard ko pyar aa jae
Thahar ja josh-e-tapish hai to taDapna lekin
chaarasazon mein zara dam dil-e-zar aa jae
husn-e-anjam ka 'momin' mere bare hai KHayal
yani kahta hai wo kafir ki tu mara jae
(857) Peoples Rate This