Mahshar Mein Pas Kyun Dam-e-fariyaad Aa Gaya
mahshar mein pas kyun dam-e-fariyaad aa gaya
rahm us ne kab kiya tha ki ab yaad aa gaya
uljha hai panw yar ka zulf-e-daraaz mein
lo aap apne dam mein sayyaad aa gaya
nakaamiyon mein tum ne jo tashbih mujh se di
shirin ko dard-e-talKHi-e-farhad aa gaya
hum chaaragar ko yun hi pahnaenge beDiyan
qabu mein apne gar wo pari-zad aa gaya
dil ko qalaq hai tark-e-mohabbat ke baad bhi
ab aasman ko shikwa-e-bedad aa gaya
wo bad-guman hua jo kahin sher mein mere
zikr-e-butan-e-KHalKH-o-naushad aa gaya
the be-gunah jurat-e-pa-bos thi zarur
kya karte wahm-e-KHajlat-e-jallad aa gaya
jo ho chuka yaqin ki nahin taqat-e-visal
dam mein hamare wo sitam-ijad aa gaya
zikr-e-sharab-o-hur kalam-e-KHuda mein dekh
'momin' main kya kahun mujhe kya yaad aa gaya
(661) Peoples Rate This