Jo Tere Munh Se Na Ho Sharmsar Aaina
jo tere munh se na ho sharmsar aaina
to ruKH kare su-e-aina war aaina
kahe hai dekh ke ruKHsar-e-yar aaina
ki is safai pe sadqe nisar aaina
siyah-ru na kare tark-e-ulfat-e-gulfam
main bul-hawas ko dikhaun hazar aaina
safai dil ki kahan qadr-e-tira-rozi mein
charagh-e-subh hai shab-ha-e-tar aaina
samajh liya magar is sabz rang ko tuti
ki hai nazare ka ummid-war aaina
wo saKHt-jaan hun ki dikhlaen gar dam-e-murdan
to toD de kamar-e-kohsar aaina
muqabil us ruKH-e-raushan ke khul gai qali
na Thahra aag pe simab-war aaina
sama rahe hain magar tere nau-ba-nau jalwe
ki ban gaya hai tilism-e-bahaar aaina
shikast-e-rang pe masti mein hanste hain hum bhi
dikhaenge unhen waqt-e-KHumar aaina
mujhe to kahte ho mat dekh meri jaanib tu
aur aap dekhte ho bar bar aaina
bala hai man-e-wafa nur uD gaya naseh
tu le ke dekh to rang-e-azar aaina
samajh tu 'momin' agar narawa ho KHud-bini
to dekhen kahe ko parhez-gar aaina
(746) Peoples Rate This