Jalta Hun Hijr-e-shahid O Yaad-e-sharab Mein
jalta hun hijr-e-shahid o yaad-e-sharab mein
shauq-e-sawab ne mujhe Dala azab mein
kahte hain tum ko hosh nahin iztirab mein
sare gile tamam hue ek jawab mein
phaili shamim-e-yar mere ashk-e-surKH se
dil ko ghazab fishaar hua pech-o-tab mein
chin-e-jabin ko dekh ke dil basta-tar hua
kaisi kushud-e-kar kushad-e-naqab mein
hum kuchh to bad the jab na kiya yar ne pasand
ai hasrat is qadar ghalati intiKHab mein
rahte hain jama kucha-e-jaanan mein KHas o aam
aabaad ek ghar hai jahan-e-KHarab mein
aankh us ki phir gai thi dil apna bhi phir gaya
ye aur inqilab hua inqilab mein
badnam mere girya-e-ruswa se ho chuke
ab uzr kya raha nigah-e-be-hijab mein
matlab ki justuju ne ye kya haal kar diya
hasrat bhi ab nahin dil-e-nakaam-yab mein
goya ki ro raha hun raqibon ki jaan ko
aatish zabana-zan hui tufan-e-ab mein
nakaamiyon se kaam raha umr bhar hamein
piri mein yas hai jo hawas thi shabab mein
hai iKHtiyar-e-yar mein sud o ziyan magar
fazil the hum jahan se qaza ke hisab mein
naseh hai aib-ju o dil-azar is qadar
goya sawab hai suKHan-e-na-sawab mein
donon ka ek haal hai ye muddaa ho kash
wo hi KHat us ne bhej diya kyun jawab mein
taqdir bhi buri meri taqrir bhi buri
bigDe wo pursish-e-sabab-e-ijtinab mein
kya jalwe yaad aae ki apni KHabar nahin
be-baada mast hun main shab-e-mahtab mein
hai minnaton ka waqt shikayat rahi rahi
aae to hain manane ko wo par itab mein
teri jafa na ho to hai sab dushmanon se amn
badmast ghair mahw dil aur baKHt KHwab mein
paiham sujud pa-e-sanam par dam-e-wida
'momin' KHuda ko bhul gae iztirab mein
(1076) Peoples Rate This